YouTube Channel Kaise Banaye Online Paise Kamane Ke Liye
Kya aap ek YouTube account bnana chahte ho? YouTube Channel create karna kafi aasan hota hai, Online paise kamane ke liye YouTube Channel ka ek Important role hota hai. Youtube channel ek aisa mantra hai, jisse aap online paise kama sakte ho vo bhi bina kisi investment ke.
kya aap without investment online paise kamana chahte ho? To aapko jaldi se ek YouTube channel create kar lena chahiye.
Keep Ready To Create a New YouTube Channel
Youtube channel banane se pehle aapko 2 chizo yani ke kuch requirements hai jinhe aapko follow karna jaruri hai.
Gmail Account: Aaj ke time me sabke paas apna ek gmail account hota hai. YouTube or Gmail dono google ke powerful brand hai. Ek Youtube channel create karne ke liye aapko apne gmail account ka use karna padega. Agar aapke paas Gmail account nahi hai to aap Gmail.com pe free sign up kar sakte hai.
Channel Name: Youtube channel start karne se pehle aapko apne brand ke liye ek name decide kar lena chahiye. bahot se log apne real name se channel ko create karte hai. lekin, aapko paise kamane ke liye business name choose karna chahiye.
YouTube Channel Kaise Banaye:
- First, YouTube.com par visit kare.
- Vahan Sign In ke option par click kare.
- Gmail Account ko enter kare (Username or Password).
- Creator Studio par click kare.
- Now, Create a Channel ke option par click kare.
Simply, apna channel name enter kare, jo aap channel me dikhana chahte hai or create channel par click kare.
Done, congratulations! aapka Youtube Channel ab ready hai. then, aapko channel me kuch videos upload karne ki jarurat hai.
YouTube Me Videos Upload Kaise Kare:
Aapne Apna youtube channel to create kar liya but next step kya hona chahiye? ye time hai apne new channel me kuch videos upload karne ka.
- YouTube.com par log in kare.
- My Channel par click kare.
- Upload button par click kare.
- Then, Select your video.
- Title, Tags or Description write kare.
- Now, click on publish button.
Upload button par click karne ke baad ek pop up open hoga. aapko apni files me se us video ko select karna hai jo aap upload karna chahte hai.
Video ke Title, Tags or Description me correct keywords ka use kar jisse watchers aapki video ko aasani se search kar sake.
Now, aapki youtube video successfully upload ho chuki hai.
YouTube Videos Monetize Kaise Kare:
youtube channel create bhi ho gya, or humne apni video upload bhi kardi or ab baat aati youtube channel se paise kamane ki.
Apni youtube videos se online paise kamane ke liye hume monetize karne ki jarurat hoti hai.
- YouTube.com par login kare.
- Creator Studio ke option par click kare.
- Channel ke option ko select kare.
- Monetization me Enable par click kare.
- AdSense Applying Form ko fill up kare.
- Enable Monetization par click kare.
Monetization par click karne ke baad aapko Adsense applying form me sabhi information ko correct fill karna hai. uske baad enable monetization par click karna hai.
Youtube new policy ke according aapko 10,000 Pageviews hit hone tak wait karna padega. 10,000 views complete hone ke baad hi aap apni videos se paise kama sakenge.
Final Words: I Hope, aapko YouTube channel kaise banaye, Youtube me videos upload kaise kare or youtube videos monetize kaise kare ke baare me puri jankari mil gayi hogi. and ye post pasand aaye to share jarur kariyega.