Android Phone Me Recycle Bin Feature Add Kaise Kare - Without Root

Computer me jab humse koi file mistakenly Erase ya delete ho jati hai to hum turant Recycle bin me jake use apne internal storage me Restore kar lete hai. Lekin, Kya ye work Android Device Linux-Based operating system me kar sakte hai? Android me Recycle bin jaisa koi feature nahin hai, Agar by chance humse koi files ya apps delete ho jata hai to hum use recover nahin kar pate.

Android Data Recovery Software

Actually, Aap is Feature, is Trick ya is component ko apne Android Device me add kar sakte ho. so, aaj hum yahan Best Data Recovery Software ke baare me bata rahe hai or "Android Phone Me Recycle Bin Feature Add Kaise Kare" ke method ko share karne ja rahe hai. Ji haan guys ye possible hai aapko sirf niche ke steps ko follow karna hai.

Read Also: Android Phone Me Deleted SMS Text Messages Recover Kaise Kare

Android Smartphone me Recycle Bin add karne ke hum ek interesting trick share kar rahe hai. Aapko bs ek App install karne ki jarurat hai jisse aap Deleted files ko Reback kar sakte ho.

Android Phone Me Recycle Bin Feature Add Kaise Kare - Without Root

Android Phone Me recycle bin feature ko add karke aap apna Data secure kar sakte ho. or agar koi dusra user aapki koi file delete kar deta hai to aap use restore kar sakte ho. Ye Process kafi Easy hai bs aapko ek android app install karna hai jiska naam hai "Dumpster App". Ye ek Data Recovery Software hain is app ki madad se aap deleted data, files, apps recover kar sakte ho. Just follow the simple steps.

Dumpster App ko Install or Use Kaise Kare
Step-1: Sabse pehle Dumpster app ko Google Play Store se Download kare.

Android Data Recovery Software


Step-2: Is app ko install karne ke baad ek Agreement display kiya jayega, aapko simpluy Agree or Proceed par click karna hai.

Read Also: Android Phone Me Duplicate Files Delete Kaise Kare

Step-3: Next Steps me aapko Media select karna hai jo aapke device se delete ho gaya jise aap restore karna chahte hai.

Step-4: Now ye app android phone se delete hue sabhi data ko store karne ke liye Rady hai.

Android Data Recovery Software

Note: Agar Aapka phone rooted hai to ise Superuser permission access karde taki ye or bhi better work kare.

Read Also: Android Mobile Phone Ki Speed Kaise Badhaye

So, guys upar How To Add Recycle Bin Feature On Android Phone ki puri jankari di hui hai. iski madad se aapka Accidentally ya mistakenly jo bhi data delete hua hoga aap use Data Recovery software se Restore kar sakte hai.

I hope, aapko ye discussion pasand aaya ho, Post ko share karna na bhule, or agar koi help chahiye to free feel karke mujhe Facebook Par contact kare.
Powered by Blogger.