Android Phone Ka Wi-Fi Mac Address Pata Kaise Kare - Simple 3 Steps

Hey Guys Welcome Back, Aaj Hum Baat karne wale hai Android Phone ka Wi-Fi Mac Address Pata Kaise Kare. Har device ka ek Unique Hardware address hota hai Jisse Us device Ki Network pehchan ki ja sake, Jise WiFi MAC address kehte hai. MAC ka Matlab hai "Media Access Control" MAC Address ka istemal Android phone me Dual Account ko Registered or access log karne ke liye kiya jata hai.

Android Phone Ka Wi-Fi Mac Address Pata Kaise Kare


MAC address ka use Ek tarah se communicate karne ke liye Bhi kiya jata hai. Kai baar Mac Address ko Network Administrator Restricted kar deta hai Taki Vo Network services ko thik tarah se Access kar sake.

See Also: Wi-Fi hack Hone Se Kaise Bachaye Top 5 Safety Tips

Lekin Bypaas ke liye hume Ek New Mac Address ki jarurat padti hai. Aaj ke Article me hum ye janenge ki "Android Phone ka Wi-Fi Mac Address Pata Kaise karte hai". Is Guide ki madad se Aap Apne MAC address ki Securities or Filters ka bhi pata laga sakte ho. So, Guys Time na Waste karte hue Hum Is Amazing Guide ko start karte hai.

Android Phone Me Wi-Fi Mac Address Check Kaise Kare

Sabse pehle To Apne Phone ke Menu me Jaye Vahan par Setting ke Icon par click karke Settings ko Open kare. Uske Baad Niche ke In 3 Steps ko Follow kare.

Step-1: Settings me, Scroll karte hue Niche jaye or Vahan "About" ke Option ko select kare.

Android Phone Ka Wi-Fi Mac Address Pata Kaise Kare


Step-2: About me Aane ke Baad Aapke Samne second option "Status" ka hoga, Uspe click kare.

Android Phone Ka Wi-Fi Mac Address Pata Kaise Kare


Step-3: Last me Aapke Samne Wi-Fi MAC Address or ID likhi hogi, Jaise Screenshot me Dikhaya gaya hai.

Android Phone Ka Wi-Fi Mac Address Pata Kaise Kare


Aap Chahe To Is Mac Address ko Kahi Copy pe ya Kahi aur Note karke Save kar sakte hai, Kyonki ye kafi useful hota hai Future me Kafi New Tricks Hogi jo Aap Iske Jariye Kar payenge. Sath hi Next week me Hum ye bhi janenge ki Wi-Fi Mac Address Change Kaise Kare or karte hai.

I Hope Guys, Aapko ye Post pasand Aayi hogi, ise Social media par Apne Friends ke sath Share kare. Taki Aap kisi ki help kar sake, Thank you So much or Take Care.
Powered by Blogger.