Facebook Two-Step Verification Enable or Activate Kaise Kare - 2 Methods
Facebook 2 Step Verification lost phone, Facebook 2 Factor Authentication google authenticator, Facebook Two Factor Authentication Without Phone Number, How to Set Up Two-Factor Authentication in Facebook Hindi, How To Disable Facebook Login Approvals.
Isme koi Daubt nahin hai ki hum Facebook or other social networking par kafi logo se connect rehte hai. Jahan par humapne friends or Family members ke sath connect hote hai - Mesaaging, Voice calls or Video calls ke jariye. But, Humare private chats, Mesaages or Photos etc. ye hum Publicly kahi share nahin karte. Ye humare liye kafi Risky hota hai jis wajah se hume Apne Social Networking Accounts ko Secure Karne ki jarurat padti hai.
Koi bhi hacker Aapke Account ko aasani se hack kar sakta hai, Aapka password access kar sakta hai, chahe to misuse bhi kar sakta hai. kuch common attacks like - Phishing Attack jo Aapke account ko hack karne me 2 Minutes bhi na le. So, Apne facebook account ko protect karna ek Major Security hoti hai. Account ko secure karne ke liye hume jarurat padti hai Two step of vertification ki. Isliye aaj hum Two-Step vertification ko Introduce kar rahe hai. Enable facebook Two-Step Vertification with These 2 Simple Methods.
See Also: Facebook Chat Me Last Seen Hide Kaise Kare - 2017 Edition
Two-Step Vertification ek security mesaure hai Jo hume extra codes provide karta hai jab hum Apne Account ko login karte hai. Jab aap apne phone me Account ko login karoge to Aapko vahan code enter karne ke liye kaha jayega, Us code ko Facebook app code generator tool ke dwara create kiya jata hai. Ye aapko Phone me SMS ke jariye bhi mil jata hai. So, agar hacker ko aapka username or password pata bhi chal jaye to vo Bina code ke aapka account log in or Access nahin kar sakta.
How To Enable Two Step verification In Facebook
Method-1: Text Message
Step-1: Sabse pehle Apne Facebook Account ko Login kare.
Step-2: Facebook main page pe Down Arrow ke Icon par click kare, Vahan Setting ke option ko select kare.
Step-3: Sidebar me Kuch Options display honge, Vahan par Security and Login ke Option ko select kare.
Step-4: Now, Use Two-Factor Authentication ke Samne Edit ke Option par click kare.
Step-5: Text Message (SMS) ke Samne Wale Enable ke Option par click kare.
Step-6: Ab ek Pop-Up open hoga Jahan aapko Enable par click karke Confirm Karna hoga.
Guys, Now Ab Aap Jab bhi Apna Account kisi bhi Device me login karoge To Aapke Phone no. par Text Messages me Verify Code aa Jayega. Us Six Digit ke code ko enter karne ke baad hi Aapka Account open hoga.
Then, Koi bhi hacker ya Koi aisa person jo Aapke Account ka Password or username janta ho But, Vo aapka Account Bina Code ke open nahin kar sakenge, In Logon se Aapka Account ek dun secure Rahega.
Friends, Kabhi kabhi aisa hota hai ki humara Device humare paas nahin hota jis kisi wajah se Hum code enter nahin kar pate, To humara Account login Kaise hoga? iska bhi solution hai Method 2 Jiske Baare me Niche Guide kiya hua hai.
Is Method ke jariye Aapko Text Message ka code enter karne ki jarurat padegi kyonki Aapko yahan pehle se hi 8 Digit ke code diye jayenge. Aapko 10 Diffrent Codes milenge Aap Koi sa Bhi use kar sakte ho. Isko Enable karne ke liye Niche ke Step ko Follow kare.
Method-2: Recovery Codes
Step-1: Click on Setting.
Step-2: Ab Security and Login ke Option par click kare.
Step-3: Ab Use Two-Factor Authentication ke Samne edit ke Option par click kare.
Step-4: Vahan Par Recovery Codes ke Samne Get codes ke option par click kare.
Step-5: Ab Aapke Samne 10 Codes nazar aayenge. Login karte Time aap In me se Koi bhi code enter kar sakte hai.
Note: Aap in Codes ka Screenshot le sakte hai, Ya phir aap Kisi notebook me mark karke Rakh sakte hai.
Guys, kai baar aisa hota hai hai ki Ab is security se kai baar Irritate hone lagte hai, Agar aap Kabhi ise Disable karna chahte to In steps ko follow kar sakte hai.
How To Disable Facebook Login Approvals
Step-1: Click on Setting.
Step-2: Ab Security and Login ke Option par click kare.
Step-3: Use Two-Factor Authentication ke Samne Edit ke Option ko select kare.
Step-4: Text Message me Disable ke Option par click kare.
Click karne ke baad Two Step verification Disabled ho jayega. Ab Aapko Account login karte Time koi bhi code enter karne ki jarurat nahin padegi.
Agar Aap mera Opinion lena chahoge to me ye kahunga ki Aapko ise Enable karke hi rakhna chahiye. Taki Aapka Account every Time safe Rahe. Kyonki Aaj kal Hacking, Phishing Attack Jaise Tarike kafi popular ho chuke hai. Kya pata Kab koi aapka Account access karle.
I hope Guys Aapko humara Tutorial pasand aaya hoga, If Your Answer is "Yes". To Ise Apne Friends ke sath Social Networking par share karna na bhule. Thank you very much or Bane Rahiye Humare sath. And Take Care!