Android Mobile Phone Ki Speed Kaise Badhaye - 10 Important Tips

Mobile Phone Ki Speed Fast Kaise Kare, Speed Kaise Badhaye, 10 Tips to Improve Your Android's Performance. Make your device more efficient.

PC Computer ki Tarah Hum Apne Device me Kafi Tarah ke Apps, Games or Files ko Store karke Rakhte hai. Humari Personal or Important Files Agar Delete bhi ho jaye to Hum Uska Backup bhi Apne Device me Stored kar Lete hai.

Aapne Noticed Kiya hoga ki Jab hum New Smartphone Buy karte hai To Vo Starting me kafi Smoothly work karta hai. Lekin, Uski Age ke sath sath, I mean Jab Device ko kuch time ho jata hai To uska Performance or Speed slow ho jati hai. Aise me Hume Hanging Problem ka Samna karna padta hai. Jo Kafi Irritating lagta hai.


Computer ki Tarah hume Apne Android Device ki Care bhi karni padti hai. Like - Reboot, Load Files or Unused Apps. Hume Humesha Security ko lekar Up to date rehna padta hai. Taki Device 2× Speed se work karta rahe.

Android Phone ko Speed or Performance ko Badhane ke liye Aaj Me Aapke sath Top 10 Tips share kar raha hu. Jinko Follow karke Aap Device Security or Performance ko lekar Modern Generation ke sath UpTo Date Ban sakoge. So Let's Begin, Android Phone ki Speed kaise Badhaye Se Related Tips and Tricks.

Top 10 Tips To Improve Your Android's Performance

1. Update Your OS

Android Phone ke Android OS ko Latest version me Update karne ka ye matlab nahin ki Aap New Features ko Access kar loge or security se up to date rahoge. Ye Depend karta hai Aapke Device, Carrier or Current Operating system pe. OS update karne se Device me New Function or Features Mil jate hai Jisse Android Device ki Speed or Performance Increase ho jati hai.

2. Root Your Smartphone

Obviously, Android phone ko Root karne ke Kafi saare benefits hote hai. Root Ke Fayde hi nahin Balki Aapko ye bhi pata hona chahiye ki Android root kya hai. Android Root Ek Operating system hai Jo device Ke Hidden feautres ko access kar Leta hai. Jisse hume Awesome Quality or feature wala Device mil jata hai. Root karne se Hum RAM Increase, Internal Storage Increasing, Games Hack or Bhi bahut kuch sakte hai jo Humare Device ki Performance ko better banate hai.


3. Kill The Bloatware

Agar baat In-Built Apps ki Jise Bloatware bhi kaha jata hai. In Preinstalled Apps ko Device me pehle se hi installed hote hai Hum Unko Without Root Na to Remove kar sakte hai or na hi Uninstall. Agar Aap Un Apps ko Remove karne ke liye Phone Root nahin karna chahte to Aap Un Sabhi apps ke Updates Uninstall kar sakte ho aisa karne se Hume Storage problem nahin hogi Or Humara device bhi properly Work karega.

4. Use Built-In File Manager

Agar aapne Apna Android Device Marshmallow me Upgrade kiya hua hai, To Built-In File Manager ka use To kiya hoga. Isse Pehle Aapne Third Party Apps ko Apne Device me Download kiya hai To Uska storage Aapke Device Storage ya USB section me Stored hota hai. Agar aap Built-In File Manager ka use karte ho To Aapko Storage Space ki Problem ka Samna Nahi karna padega. Aap Sabhi installed Apps ki files copy karke cloud section me paste kar sakte ho. Jisse hanging Problem ke sath sath Performance me sudhar Aayega.

5. Increase Internal Storage

Computer ki tarah hume Android me bhi jyada space ki jarurat padti hai. Taki Hum Apni pictures, Files or Backup ko Safe Rakh sake. Lekin, kar Storage problem ki Wajah se Hume kafi kuch Delete karna pad jata hai. Agar Aap Apne Device ko Root karte hai To Aap link2SD or Other Tricks ka use karke Device Storage ko Bada sakte ho. Ya phir aap Apne Device me Cache or Faltu ke data ko Remove kar sakte ho, Taki aapka Device Better Speed se Work kare.

6. Let Auto Correct Work for You, Not Against You!

Aapne Dekha hoga ki kai baar jab Hum Apne Smartphone se Emails, Messages ya Chat karte hai To Autocorrect Ki Wajah se Humara Keyboard kafi Slow load hota hai, Aisa nahin hai ki Autocorrect aapke Device ke liye Thik nahin Me yeh kehna chahta ki Ye Aapke liye work kare Aapke khilaf nahin. iske liye Aap third party Keyboards Ka use kar sakte hai ya Autocorrect dictionary setting kar sakte hai.

7. Boost Your Battery Life

Kisi Dead battery ki Tarah humara product dead nahin hota. I mean, Aapko Apne Device ke liye Ek personal Charger ka hi use karna chahiye Agar Aap aisa Karte hai To Aapki Battery Long Life or Healthy Rahegi. Yahan kuch tarike hai jiska Use karke Aap Battery Life save kar sakte hai: Turn Off Your Wi-Fi or Bluetooth jab Iska Use aap na karo, Background Running Apps ko Disable karo, Power saving mode ka use kare.

8. Set Up Default Apps

Ye Bahut hi Aasan hai. Kya aap Kisi Link or photo Ko Dekhne ke liye Wrong App or Web browser ka Use karte ho? Iske liye Aap Device setting me Default Apps me jaye or check kare Action karte Time Konsa App select hai. Aap usko apne Hisab se Set kar sakte hai ya Clear bhi kar sakte hai. Ye Aapke Android version pe Depend karta hai.

9. Use An Android Launcher

Android phone ko use karte karte Hum Thoda Bor hi jate hai, is time hume Jarurat padti hai Make Up karne karne ki. Agar Aap HTC, LG or Samsung Devices ko use karte hai jo Android Modified version hai. Iske Sath Deal karne ke liye Humare Pass ek Hi Tarika Hai. Android Launcher ko use karne ka, Jo Aapki home Screen ko Customize karne me or Apps ko manage karne me Help Karega. Launcher me Aapko or bhi Bahut se Options milte hai. Like - Color schemes, organise Apps or Resize the elements jo Screen par show hote hai.

10. Take Security Seriously

Finally, Android Smartphone ko Secure karna Kafi jaruri hota hai ye ek common sense ki baat hai. Kyonki Device ki security Important hoti hai Aap kisi Bhi unknown sender ke diye link or attachments ko kabhi bhi Open na kare. Device ko Latest security ke sath Update Rakhe. Android Device Manager ka use karke Location Tracker ko Setup kare Taki Device ke Kahi Lose ya chori ho jane par Aap Sara Data Delete kar sake.

Final Words :)

So Guys, Ye thi Top 10 Awesome Tips and Tricks, I Hope Aapko pasand to Aayi hogi. In Sabhi Tips ko follow karne se Aapke Device ki Performance Improve ho Jaayegi. I Bet, Aapka Smartphone Double Speed se work karega. Agar Koi Question Ya Daubt hai to Hume Jarur bataye.
Powered by Blogger.