GREENIFY APK Kya Hai? GREENIFY Ka Use Kaise Kare

Howdy Guys, Ek baar phir Inspire Me Loud pe Aapka Welcome kiya jata hai. Aaj Hum baat kar rahe hai Greenify ki. Bahut se Android Users ye nahin jante hai ki GREENIFY kya hai? Aaj ke is Post me Aapko Greenify Kya hai? Or Greenify ka Use kaise kare ki Details milegi. Or aapko Bonus me ye bhi btaya jayega ki Android phone ka battery Backup Greenify ki madad se Increase kaise kare.


GREENIFY APK Kya Hai? GREENIFY APK Ka Use Kaise Kare


Dosto Greenify ek aisa app hai. jiska use karne se Aap apne Phone ki Battery Backup ko bada sakte hai. Greenify Rooted or non Rooted Devices dono me hi work karta hai. Agar Aapka Phone Rooted hai To Greenify 100% Work karega or Agar Aapka Phone Root nahin hai to 90% work karega. Agar aap iska use Rooted Device me karna chahte hai to uske liye aapko apne phone ko Root karne ki jarurat padegi. Uske liye aap humara ye Article Read kar sakte hai.

Read Here: Android Phone ko Root Kaise Kare With PC In Hindi


Greenify Kya Hai?

Greenify ek Android APK hai. jiski madad se Hum Apne Phone ke Battery Backup ko increase kar sakte hai. Aapne dekha hoga jab hum Kuch work karte hai to Phone me kai Aise apps Hote hai Jo Background me Movement karte hai Jisse Running App Storage bhi Badta hai. Jisse phone Hang hone lagta hai or Battery Waste hone lagti hai.
Greenify kuch Aise hi Apps ki movements ko Record karta hai Or unki Is harkat ko Rok deta hai. isse hume 2 Benefits milte hai. First to ye ki Humari Battery life 2× Ho jati hai or Second ye Humare Device ki Hanging Problem bhi solve ho jati hai.

Read Also: Android Root kya hai Complete Information In Hindi

Guys ye to tha Greenify ka Introduction ab zara ye jaan lete hai ki GREENIFY ka Use kaise karna hai.


Greenify Ka Use Kaise Kare

Dosto Greenify ka Use karna. I mean, is Apk ko manage karna bahut Aasan hai Bs aapko un Apps ki list Ready karni hai Jo Background me Work karte hai. Niche ke Steps ko follow kare.

Step-1: sabse pehle Greenify apk ko goggle play store se download kar le.

Step-2: Greenify Apk install hone ke baad Aapko Ab Apne Saare Apps Greenify me Add karne hai.

Step-3: Ab hume apne un apps ko hibernate karna hai jiska use hum jyada karte hai. Actually, hume apne sabhi apps ko hibernate karna chahiye uske liye aapko "+" ke icon par click karna hai.

Step-4: Ab Aapko Scroll down karna hai or click karna hai show more Apps pe.


GREENIFY APK Kya Hai? GREENIFY APK Ka Use Kaise Kare


Step-5: Ab saare apps select kare jise aapko hybernate karna hai.

Step-6: hybernate karne ke liye app pe long press kare Or use highlight kar dijiye aise hi apne saare apps select kare le or tick mark ke icon pe click kare.

Step-7: Ab humare samne Short list show hogi Un apps ki jo humne select kare the pr vo abhi hybernations ke liye pending me hai, Ab hume kisi bhi ek app ko select karna hai or click karna hai "Zzz" icon pe. jisse hybernation start hone lagegi, ye process complete karne ke liye hume thoda wait karna padega.

Process ke complete hote hi Sabhi apps hybernate ho jayenge. Ab hum jab bhi un apps ka use karenge to humari battery percentages thodi kam hi waste hogi. guys its really worked in my case. me isko pichle 1 year se use kar raha hu or abhi tak mujhe iska koi disadvantage nahi dikha.

Agar aapka koi sawal hai to use comment box me Drop karde. Or agar aapko post pasand aaye to ise social media par share karna na bhule.

Powered by Blogger.