Windows 10 Me Guest Account Create Kaise Kare - Inspire Me Loud

Windows OS me Guest Account ko banana ek cool thing hai, Because Iski madad se Aap Apne PC ko Use karne ki ek limit de sakte ho vo bhi jab koi or user aapka PC use kar raha ho. Jaise ki Aap apni Family members or apne friends ke liye ek account create kar sakte ho. Iska Benefit ye hoga ki Unko ek limited access hogi, Jisse vo aapke private files or data ko check nahin kar sakenge.

Windows 10 Me Guest Account Create Kaise Kare

Agar koi user PC ki settings ko Open karega to Use Admin Password enter karne ke liye kaha jayega iska matlab hua ki Aapka PC koi dusra user puri tarah se control nahin kar sakta hai. Windows ke Previous versions me Guest Account Create karna kafi Easy tha, But Windows 10 me Guest Account karne ke liye users ko thodi si confusion hoti hai. Because Windows 10 kafi ultimate version hai.

So, Aapki is confusion ko solve karne ke liye Aaj Hum ek Guide share karne hai "Windows 10 Me Guest Account Kaise Banaye Step by Step Complete Guide". You just Follow These Simple Steps.

Windows 10 Me Guest Account Create Kaise Kare - Ultimate Guide

Default Interface ko change karne ke karan users ko ye process thodi difficult lagti hai, Lekin aap niche ke in aasan steps ko follow karke windows 10 me guest account bana sakte ho.

Step-1: Sabse pehle to Start button par click kare, uske baad type kare "User", ab aapko "User Account" ka option dikhega simply uspe click kare.

Windows 10 Me Guest Account Create Kaise Kare

Step-2: Ab Manage another account par click kare, usme aapko "Make changes to user Account" ka section dikhega.

Windows 10 Me Guest Account Create Kaise Kare

Step-3: Ab aapko "Add a New User in PC Settings" ke option par click karna hai.


Windows 10 Me Guest Account Create Kaise Kare




Step-4: Now, aapko "Family and Other users" ke option par click karna hai.Uske samne aapko "Add someone else to this PC" ke option ko select karna hai.


Windows 10 Me Guest Account Create Kaise Kare

Step-5: Ab windows aapse us user ka email address poochega jise aap PC me add karna chahte hai. Iski koi jarurat nahi hai aap "I don’t have this person’s sign in information” par click kare.

Windows 10 Me Guest Account Create Kaise Kare

Step-6: Next page par, aapko sabhi fields ko fill karne ki koi jarurat nahin hai, sirf "Add a user without a Microsoft account" ke option par click kare.

Windows 10 Me Guest Account Create Kaise Kare

Step-7: Ab aapko Guest Account ke liye Name or Password enter karne ki jarurat hai.

Windows 10 Me Guest Account Create Kaise Kare

So, guys Aaj ki guide me windows 10 me guest account kaise banaye ki complete information thi, Iski madad se aap kisi bhi users ke liye ek Alag account create kar sakte hai. To aaj hi is account ko activate kare. Hope you loved this article, ise apne dosto ke sath share jarur kare Agar koi question ya daubt hai to mujhse baat kare.
Powered by Blogger.