Windows Laptop Me Tracking Feature Enable Kaise Kare


How To Enable Windows Laptop Tracking Feature Step By Step Guide In Hindi.

Howdy Readers, Aaj ka Humara Topic bahut hi Simple hai Windows PC Me Tracking Feautre Enable Kaise Karte hai. Microsoft ne 2 Years ke baad Windows 10 me Biggest Update kiya hai Jisme Include kiya gaya hai "Find My Device" Feature. iski madad se Aap Windows Devices ki Location Check or store kar sakte hai, Or sath Hi PC ke Kahi Lost ho jane par Aap location dekh bhi sakte hai.


Dosto ye Feautre keval Device ki Location Track karne ke liye hai. Ye koi remotely feature nahin hai or na hi ye Aapko PC ko Auto lock kar sakta hai. Isme koi Alarm Nahin hai, Or na hi ye Us Person ki photo show karega Jo Aapke Device ko Use kar raha hai, Ye sirf humare device ki Current Location ko show karta hai. That's it!!!. Microsoft Future me or bhi Interested Feautres Add karega But, Aaj Hum baat kar rahe hai "Tracking Feature" ki.

Location Check karne ke liye or Report Dekhne ke liye Aapke paas Internet Connection available hona chahiye. Agar Aap chahte hai ki Ye Feautre perfectly work kare to Aapke paas Microsoft Account bhi hona chahiye.

How To Enable Windows Laptop Tracking Feature In Hindi

Laptop Tracking Feature ko Enable karne ke liye Niche ke Step By Step Guide ko Follow kare.


Step-1: Start Menu par click kare pr Settings Select kare.

Step-2: Update & Security me Find My Device ke Option ko select kare.

Step-3: Is Option ko Turn On karne ke liye Aapko Microsoft Account Log in karne ki jarurat padegi.


Step-4: "Find My Device Off" me Click karke On kare.

Step-5: Save my device’s location periodically” Ko bhi Turn on Karna Na Bhule.

Step-6: Agar Aap Apni device ki Location ko check karna chahte hai To Yahan visit kare "account.microsoft.com/devices."

I Hope Guys, ki Aapne apne Device ki Location ko Track kar liya hoga, Koi bhi problem ho to aap sidhe mujhse Mere Facebook Account par baat kar sakte hai.

See Also: Windows PC Me Key Combination Shortcut Kaise Banaye - Create a Custom Shortcut Key

Finally, Is post ko Facebook, Twitter or Google Plus par share Jarur kare. Thank you So much, and Take care.

Powered by Blogger.