Instagram Account Me Two-Factor Authentication Enable Kaise kare
Instagram ne Announced kiya tha Ki vo hume Two new Features offer karega Jo Account ki security or Privacy ke liye Important hai. Now, Hum Instagram me Two-Factor Authentication Enable kar sakte hai, Jisse Humara Account More Secure Rahega.
Enable Two-Factor Authentication |
Instagram ne Jab announced kiya tha Iske 2 New Features ke baare me Tab se Sabhi Users long time se wait kar rahe the ki unhe Kab New Features ka use karne ko milega. Ab hum isme Two-Factor Authentication ko Enable kar sakte hai. Ye security measure or bhi platform par Include kiya hua hai - Like Facebook or WhatsApp.
Two-Factor Authentication Ek Popular Security Measure Hai.
Two-Factor Authentication Ek aisa Security measure hai jo User ko Account login karne par Code enter karne ki Service Provide karta hai. Is Feature ki madad se Hum apne Account ko Hacked hone se Bacha sakte hai. I mean, Humara Account Fully secured Rahega. Ab Two-Factor Authentication ko Enable karne ke Steps par nazar Dalte hai.
Go To The Setting
Two-Factor Authentication ko Enable karne ke liye Instagram Profile Settings me jaye. Aap kisi Third Party App Ki madad se Is Feautre ko Enable nahin kar sakte, So Aap Khud hi Apne Account me login kare.
Enable Two-Factor Authentication
Settings me, Aapko Two-Factor Authentication ke Option par click karna hai, Aapko vahan Par kuch Backup codes Bhi milenge, Chahe to Aap Unhe Kahi note kar sakte hai ya ScreenShots Capture bhi kar sakte hai.
Confirm The Code
Aapke Registered Kiye gaye Mobile Number par Ek SMS aayega, Jisme 6 Digit ka code Hoga. Ab jab bhi Aap Account login karoge Aapko SMS ke jariye Confirmation Code (OTP) mil jayega ya phir Login karne ke liye Aap Backup Codes ka istemal Bhi kar sakte hai.
So, Guys Aapne Bina kisi Problem ke Apne Account ko Secure kar liya. Aage or bhi aisy jankari ke liye Aap Hume subscribe bhi kar sakte hai.
Social media par hume follow bhi kar sakte hai, Or sath Hi Is post ko Facebook, Twitter, Whatsapp or Google Plus par share kare Taki Aapke Friends bhi befikar hoke Instagram par Active rahe. Thank you So much and Love you Readers.