Android Phone Ko Unroot Kaise Kare - Inspire Me Loud

Android phone ko root karne ke baad hum mostly Sabhi works or Tricks ko try kar lete hai, fir hum Rooted Device se bor hone lagte hain. Then, hum sochte hain ki Ab Apne Android phone ko unroot kaise kare. ya phir ek reason ye bhi ho sakta hai ki root karne se humare Device me koi problem Like - Negative effects aa jate hai to tab bhi hume apne Rooted phone ko unroot karna padta hai.

Android Phone Ko Unroot Kaise Kare

So, aaj me yahan aapko bata raha hu Android phone ko unroot kaise kare vo bhi Amazing 2 apps ki madad se, to phir aage badte hain apne article ki taraf. Phone ko root karte Time kai problem ho jati hain jisse humara phone ek dibba (Brick) ban sakta hai.

Example - Custom ROM Install karte Time Phone Ke Dead hone ke Chances Jyada hote hai, Android OS Upgrade karte Time ya phir Preinstalled Apps ko Delete karte Time hume jyada risk lena padta hai.

Read Also: Android Phone Ko Root Karne Ke Advantages or Disadvantages
Read Also: Android Phone Ko Root Karne Ke Fayde Top 10 Benefits

Ab aap Soch rahe hoge ki Preinstalled Apps ko Remove karte Time hume konsa risk lena padta hai? Reason ye hai ki Last time me Kuch Preinstalled (Unwanted) Apps ko Remove kar raha tha, Galti se Unke sath sath mene software bhi Remove kar diya. After 5 Minutes, Pata chala ki OS Delete ho gya us Time mujhe ehsas hua ki I'm very very stupid man. Phir maine New Software Inbuilt karne ke liye apna handset service centre me de diya vahan usko 2 Days ICU me rakha gaya and now he is perfect (Really its Perfect). So, Preinstalled Apps ko carefully Remove kare.

Baaton Baaton me Hum apne Topic ko piche chod aaye, To Aap apne hath me ek coffee ka Cup utha lijiye or aage Padna Shuru kijiye. Android phone ko Unroot kaise kare With SuperSu and Universal Unroot App.

Android Phone Ko Unroot Kaise Kare With These 2 Apps

1. SuperSu Se Unroot Kaise Kare
Super SU ke jariye bhi hum apne phone ko unroot kar sakte hai aapne jab phone root kiya hoga tab apne Super SU ka naam suna hoga, me aapko bataunga ki SuperSu ka use karke Android phone ko unroot kaise karte hain, Ye bilkul safe hain phone ko unroot karne ke liye.



download supersu apk

Step-1: Phone me SuperSU ko install kare. aapse permission mango jayegi is aap ke liye Use allow kar de.

Step-2: App open karte hi aapko setting ka option dikhega uspe click kare or setting me thoda niche scroll karte hi vahan "Full Unroot" ka option hoga, simply uspe click kare.

Step-3: Ab aapse permission mangi jayegi ki aapko apna phone unroot karna hain vaha aapko continue ko select karna hai. SuperSU automatically aapka phone Unroot kar dega.

Congo! aapne without kisi problem ke phone ko successfully unroot kar liya. Agar aapko is method me koi problem lagti hai to Aap universal unroot ka use kar sakte ho. Niche complete guide di hui hai.

Read Also: Android Smartphone Ko Root Kaise Kare
Read Also: Samsung Device Ko Root Kaise Kare

2. Universal Unroot App Se Unroot Kaise Kare
Mene aapko pehele btaya tha SuperSu ke baare me, now hum janenge ki universal unroot app ka use karke Android phone ko unroot kaise kare. Ye app worldwide popular hai or device ke liye safe bhi. So, start karte hai ki hum kaise universal unroot app se apne phone ko unroot kar sakte hai.


Android Phone Ko Unroot Kaise Kare


download universal unroot apk

Step-1: Phone me app ko download or install kare, Ab Aapse permission mangi jayegi aapko permission Guaranteed karni hain.

Step-2: Aapko vahan pe Unroot ka option nazar aayega just uspe click kare. Or permission ko allow karde.

Step-3: Now, Phone ko Unroot karne ki process start ho jayegi, processing ke complete hote hi aapka device fully unroot ho jayega.

So, Guys I hope aapko humara aaj ka "Unroot Kaise Kare" article pasand aaya ho and I wish ki aapka device aasani se unroot ho jaye. Upar ke bataye gaye method me se aap kisi ka bhi use karke apne Android phone ko unroot kar sakte ho. Or agar koi daubt ya koi question hai to humse contact jarur kariyega.

Last me is Post ko social media (Facebook, Twitter or Google Plus) par share jarur kare, Taki humari bhi thodi help ho jaye.
Powered by Blogger.