Windows PC Me Key Combination Shortcut Kaise Banaye - Create a Custom Shortcut Key


Jaisa ki Hum jante hai Shortcut keys ka use karne se Humara Kafi Time save hota hai. Alt+F4, Shift+Tab or much more jisse Hum Shortcut keys ko include kar sakte hai. Guys Aaj ke Article me hum baat karne wale hai PC/Computer me Shortcut keys ko Kaise Banaye.

Shortcut Keys Kaise Banaye


Shortcut keys Humare Hard Work me Important Role play karti hai. Like jab hume Koi Work karna ya Urgent work karna ho to Shortcuts ki madad se Humara work Aasan ho jata hai. Isse pehle Kuch logon ne Mujhse FB par Baat kari thi ki Khud ki Shortcut keys kaise Banaye. So, Aaj Hum isi baare me baat Karenge.

Shortcut keys ko Develop karne ke liye Windows 10 hume allow Karta hai ki Hum Khud ki Ek Shortcut key ko Bana sakte hai. Iski Madad se Hum kisi bhi Programme ke liye Shortcut key ko Create kar sakte hai. So, Aaj Hum Aapke liye Step by Step Guide Laye hai "How to Create Custom Shortcuts" ki.

How To Create A Custom Shortcut Key on Windows PC [Computer]

Step-1: Windows me Command Prompt ko Open kare. Uske liye Search Box Box me "cmd" Type kare. Select karte Time Command Prompt par Right Click kare or Click kare "Run as Administrator".

Step-2: Ab Type kare "explorer shell: AppsFolder" Uske baad Enter Press Kare. Enter karne ke baad Aapko un Sabhi apps ki list mil jayegi jo Aapke System me install kar rakhi hai.

Step-3: Ab Kisi bhi apps par Right click kare or Select kare Create a Shortcut, "Yes" par click kare.

Step-4: Icon par Right click kare or properties select kare, Shortcut key ke Field me Ek Combination Enter kare. Combination kuch aisa hona chahiye - CTRL+ALT+LETTER/NUMBER.

Step-5: Last me, OK par click kare.

I hope, Aapne Aasani se Shortcuts bana liye honge. Sorry bolna chahunga ki me aapke liye ScreenShots nahin Add kar paya.

Agar Phir bhi Aapko koi Problem hoti hai Shortcut keys ko include karne me To Aap Facebook Account par mujhse baat kar sakte hai. Sath hi is post ko Facebook, Twitter or WhatsApp par share karna na bhule. Thank you And Take care.

Powered by Blogger.