Android Phone ko Root Karne ke Fayde - Top 10 Benefits Of Rooting
Android Phone ko Longtime se Use karne Ke baad Hum kafi Bor ho jate hai, Kyonki Use istemal karne ki ek Limitation Hoti hai Yani ke hum Koi new Feature ya Activity nahin kar sakte.
Android phone ko Root karne ke liye Humare Pass Strong Reasons hone chahiye, Jisse Root karne ke baad Humara Target un Reasons ke upar hona chahiye jo Hum apne Device me karna chahte hai.
ANDROID Phone ko Root karne ke Fayde kya hote hai ye Jyadatar log phone Root karne ke baad Sochte hai. So, Isliye me Aaj Ka Article Aapke liye laya hu "Top 10 Benefits Of Rooting Your Android Phone or Tablets".
Dosto Root Ke Fayde ki baat to tab aati hai Jab Log Root ko jante ho, Iske liye mene pehle hi ek Article publish kiya tha. Is post ko Read karne se pehle aap ek nazar waha par Daal le.
Read Here: Android Root kya Hai Hindi Me Jane Puri Jankari
Now, Time waste na karte hue Hum apne Main Keyword par Aate hai - Root karne ke Fayde kya hai?
Android Phone Ko Root Karne ke Fayde - Top 10 Advantages of Rooting Your Android Device
Apne Phone ko Root karna hai ya nahin? ye decide karne ke liye aapko humare bataye 10 Benefits ko Dekh lena chahiye. Me Bet laga sakta hu ki iske baad Aap Keval Phone ko Root karne ke baare me hi sochoge, Let's Start.
1. Installing Custom ROM
Sab me Se pehle Benefit To yahi hai ki Users Custom ROM ko Flash kar sakta hai. Aap kisi bhi Device me Custom ROM flash kar sakte ho, Bs aapka Device Rooted hona jaruri hai. Jab Aap First Time Custom ROM ko install karoge to Aapko Aisa Feel hoga ki Aapka Device Ek dum New hai, Jiske Feautres pehle se Diffrent hai.
2. Remove Preinstalled Apps or Crapware
Aapne Noticed Kiya hoga Jab hum New phone Buy karte hai to Usme Default setting Hui hoti hai, Jise hum apne Hisab se Customize karte hai. Lekin Phone Me kuch Aise Apps bhi available hote hai Jinka Koi use nahi hota or vo Humari RAM or internal Storage par Effect karte hai.
Guys Agar humara phone Rooted hota hai To hum un Sabhi apps Ko Remove or Uninstall kar sakte hai, Aisa karne se Humara device pehle se 2× Speed se work karta hai. iski madad se Device me Internal Space jyada Matra me Available ho jata hai.
3. Blocking Ads In Any App
Jo Free App Developer hote hai vo Apps me Ads Ko Run karte Hai Taki Vo paise kama sake. Lekin, bahut se Android Users isse Pasand nahi karte hai. To kya aap Un Sabhi ads ko Disabled karna chahte hai To iska best Tarika Phone ko Root karne ka. Rooted phone me Hum "AdFree, AdBlock Plus, or Ad Away" Jaise software ki madad se Ads Ko block kar sakte hai.
4. Install Incompatible Apps
Bahut se Wonderful Apps Aise hote hai Jo Google play pe Available nahin hote, Like - Ads Blocking Apps, RAM increasing or Internal Storage Increasing Apps. Agar Hum Aise Apps ko Non Rooted Device me install kare to In Apps ka work karna Impossible hai.
Kabhi kabhi hume lagta hai ki hum apne phone ko Poori tarah control nahin kar sakte, Jyadatar Apps Available nahin hote ya Blocked hote hai. But, Rooted Device me hum un Sabhi Apps ko Install karke Properly work kar sakte hai. Phone ko Root karne ka Ek benefit hota hai ki Uski Power Improve ho jati hai.
5. Keep Latest Android OS
Latest OS se matlab hua ki Humare Device me New Features ko Badava dena. Android Developers ke liye New OS humesha Available hote hai, Or monthly Released bhi hote hai. Ek baar phone ko Root karne ke baad Hum Apne Device ke liye Bhi new OS ko Easily Find kar sakte hai.
6. Change Skin For Your Android
Log jo freedom se pyar karte hai or humesha Kuch creative Sochte hai. Lekin, mere friends aise bhi hai Jo Phone ko Changeless Skin se nafarat karte hai. Changeless se matlab Hai ki hum device ki Skin color change nahi kar sakte hai. Luckily Agar Aapne apne phone ko Root kiya hua hai To Aap ise Bina kisi Problem ke solve kar sakte hai.
7. Boost Your Android Device's Speed or Battery Life
Android Phone ki Speed Boost karne ke liye Bahut se Raaste hote hai sath Hi Battery Backup ko increase karne ke bhi. For Example - Hum use kiye app ko Background se Disabled kar sakte hai. But, Aapka Phone Rooted hai To Humare paas Jyada power hoti hai, Like GREENIFY app Jiska use karne se Sabhi Apps ki activities ko Disabled kar sakte hai. Or SetCPU App jiski madad se Humare device ki Performance Or bhi Fast ho jati hai.
Read Also: GREENIFY APK kya Hai? GREENIFY Ka Use Kaise Kare
8. Make Complete Backup Of Your Android Phone
Android phone ko Root karne ka Major benefit To yahi hai ki Hum apne Device ka Full Backup le sakte hai. For Example - Agar Mistake se Humse koi important File delete ho jaye To hum use Recover bhi kar sakte hai.
Android phone me Backup Create karne ke liye ek Bahut hi Popular App hai "Titanium Backup". is App ka Aapko Pro premium version bhi mil jayega Jiske liye aapko $6.58 pay karne padenge. Titanium Aapke Device ka Complete Backup bana leta hai, System se lekar apps tak. Jisse Aap Kabhi bhi Apne Backup ko Restore kar sake.
9. Automate Everything
Automation ek liye Bahut hi Useful App hai "Tasker" iski madad se Humare device ke liye Jyadatar work automatic hi hote hai. Like - Agar aap Apne Device ko car dock me connect karoge to Google Maps Automatically hi open ho jayega, or Agar aap Ghar se Kahi Bahar jate ho to Wi-Fi Automatic Hi Band ho jayega.
Tasker App ka use Aap Non Rooted Device me bhi kar sakte hai, But Rooted Device me hume iske features jyada milte hai.
10. Add External Storage
Android phone ki External storage ko Increase karne ke liye ek Best free App "USB-OTG Helper". jyadatar Android users is App ko Apne Device me carry karte hai, Taki Vo External storage ko Host kar sake. Android phone ko Root karne ke baad Aap USB-OTG ko Download kar sakte hai.
Bonus Tip
11. Be Master of Your Android deviceIn sabke end me baat aati hai "Hum master ban sakte hai apne Android device ke, Phone ko Root karne ke baad Aap apne Phone me Bahut kuch new kar sakte hai.
Upar ke bataye Sabhi points ko Aap Rooted Device me Aasani se kar sakte hai. Itna hi Abhi bahut se or Advantages hai jo Humne Is post me Include nahin kiye, Aane wali Post "Android phone ko Root karne ke baad kya kare" me aapko Sab Benefits ke baare me pata chal jayega. Lekin Root karne se pehle Hume Root Ke Fayde or nuksaan dono ke baare me pata hona jaruri hota hai.
Because Root karte waqt bhi hume Risk lena padta hai ki Humara device brick na Ho jaye. Agar Aap apne Phone ko Root karne ki soch rahe hai to aap is Article ki help le sakte hai.
Read Here: Android Phone Ko Root Kaise kare - Easy Method In Hindi
Final Words
I Hope, Aapko ye Advantage pasand aaye honge. Agar aap is Topic me mujhse baar karna chahte hai To Mere Facebook Account pe contact kare.
Sath hi is post ko Facebook, Twitter or WhatsApp par share karna na bhule, TThank you very much and take care Also waiting for my Next Post. Love you Readers.